Showing posts with label 4 line Poetry. Show all posts
Showing posts with label 4 line Poetry. Show all posts

Jan 28, 2017

Waqt Ne Beet Hi Jana Tha Aur

Waqt Ne Beet Hi Jana Tha Aur
Waqt Gaya Hai Beet Ni Maye

Baqi Sary Rishte Jhoote
Sachi Teri Pareet Ni Maye...

Waqt Ne Beet

Dec 16, 2016

Deedar-E-Yaar Aj Tak Mayassar Nahi Raha

Deedar-E-Yaar Aj Tak Mayassar Nahi Raha
Muddat Hui Humara Koi Basar Nahi Raha
Mara Hai Muflisi Ne Jo Khanjar Hayaat Pe
Aye Ishq Tere Tann Pe Koi Sar Nahi Raha...

Submitted By: Murad Ahmad

Udaas Karna To Reet Thehri December Ki

Udaas Karna To Reet Thehri December Ki
Magr Wo Is Bar Zara Ada-Kaari Kar Gaya
Tarapty Laashy Uthwa Kar Na-Tawaan Hathon Me
Meri Maaon Par Ta-Qayamat Marg Tari Kar Gaya...

Udaas Karna To

Nov 14, 2016

Rony Ki Saza Hai Na Rulany Ki Saza Hai

Rony Ki Saza Hai Na Rulany Ki Saza Hai
Ye Dard-E-Mohabbat Ko Nibhany Ki Saza Hai
Hansty Hain To Aankhon Se Nikal Aty Hain Ansoo
Ye Ek Shakhs Ko Be-Intiha Chahny Ki Waja Hai...

Rony Ki Saza

Nov 12, 2016

Na Saboot Hai Na Daleel Hai

Na Saboot Hai Na Daleel Hai
Mere Sath Rab-E-Jaleel Hai
Tera Naam Kitna Mukhtasir
Tera Zikr Kitna Taveel Hai...

Na Saboot Hai

Oct 15, 2016

Chalo Guftagu Tamam Karte Hain

Chalo Guftagu Tamam Karte Hain
Tere Sakoon Ka Ehtamam Karte Hain
Zamany Bhar K Aib Hain Hum Main
Tujh Ko Qazi Salaam Karte Hain...

Submitted By: Kaleem Danish

Oct 3, 2016

Afzal Hai Kul Jahan Se Gharana Hussain Ka

Afzal Hai Kul Jahan Se Gharana Hussain Ka
Nabiyon Ka Tajdaar Hai Nana Hussain Ka
Ek Pal Ki Thi Bas Hakoomat Yazeed Ki
Sadiyaan Hussain Ki Hain Zamana Hussain Ka...

Submitted By: Ahmed Sindhi

Jul 18, 2016

Koi To Dard Ki Had Ho Jahan Ye Dil Thehre

Koi To Dard Ki Had Ho Jahan Ye Dil Thehre
Kahin To Chaaon Ho Aisi K Dum Lia Jaye

Bikhar Bikhar Si Gai Hai Tamam Hasti Hi
Rafu Karen Bhi To Kya Aur Kya Siya Jaye...

Koi To Dard

Jun 28, 2016

Malangon Ki Nigaahon Me Ajab Masti Nazar I

Malangon Ki Nigaahon Me Ajab Masti Nazar I

Bulandi Aasmanon Ki Unhein Pasti Nazar I

Kabhi Behlol (R.A) Ne Bechi Kabhi Hur (R.A) Ne Khareedi

Khudawand Teri Jannat Bari Sasti Nazar I...

Submitted By: Ali Abbas Kazmi

Jun 18, 2016

Ishq K Koh-e-Qaf Me Hun

Ishq K Koh-e-Qaf Me Hun
Aqal K Aitkaf Me Hun

Pehle Pehel Azeez Thi Duniya
Aj Kal Ikhtalaf Me Hun...

Ishq K Koh

Jun 14, 2016

Jaam Pe Jaam Peny Se Kya Faida

Jaam Pe Jaam Peny Se Kya Faida
Raat Guzri To Utar Jaye Gi

Peena Hai To Kisi Ki Ankhon Se Pi
Umer Sari Nashay Me Guzar JaYe Gi...

Submitted By: Syed Zaibi Ali

Jun 8, 2016

Pehle Tujh Ko Tamanna Meri Thi

Pehle Tujh Ko Tamanna Meri Thi
Aur Mujh Ko Tamanna Teri

Aur Ab Tujh Ko Tamanna Kisi Aur Ki Hai
Ja Ab Teri Tamanna Kary Koi...

Submitted By: Iqra Farhad

May 17, 2016

Koi Dikha K Roye Koi Chupa K Roye

Koi Dikha K Roye Koi Chupa K Roye
Humain Rulane Wale Hum Ko Rula K Roye
Marne Ka Maza To Tab Hai Sagar
Jab Qaatil Bhi Maiyyat Utha K Roye...

Submitted By: Sagar Nawaz

Koi Dikha K

May 15, 2016

Us K Nazdeek Gham-e-Tark-e-Wafa Kuch Bhi

Us K Nazdeek Gham-e-Tark-e-Wafa Kuch Bhi Nahi
Mutma-in Aise Hai Jese Hua Hi Kuch Bhi Nahi
Ab To Hathon Ki Lakerain Hi Miti Jati Hain
Us Ko Kho Kar To Mere Pas Raha Hi Kuch Nahi...

Submitted By: Atif  Noor

May 13, 2016

Dil Hijr K Dard Se Bojhal Hai

Dil Hijr K Dard Se Bojhal Hai
Ab Aan Milo To Behtar Hai
Is Bat Se Hum Ko Kya Matlab
Ye Kese Ho Ye Kiun Kar Ho...

Submitted By: Pervaiz Abbas

Apr 21, 2016

Aankh Pur-num Ashq Zam Zam

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam
Sans Madham, Waqt Hai Kam

Wasl Rahat, Hijr Matam
Aah Nikle, Mout Marham...

Submitted By: Haris Rasool

Feb 23, 2016

Mujh Ko ilm-e-Rasa Dia Tu Ne

Mujh Ko ilm-e-Rasa Dia Tu Ne
Mujh Ko Taufeeq-e-Amal De Ya Rab
Dikha De Jalwa-e-Manzil Mujh Ko
Meri Taqdeer Badal de Ya Rab...

Submitted By: Imtiyaz Khan

Jan 22, 2016

Bikhar Raha Hai Fazaon Me Rang O Boo

Bikhar Raha Hai Fazaon Me Rang-o-Boo Ho Kar
Utar Raha Hai Dilon Me Wo Guftagu Ho Kar
Kabhi To Lafz K Paikar Me Dhal K Aega
Me Jis Ko Sochta Rehta Hun Ba-Wuzu Ho Kar...

Bikhar Raha Hai

Jan 19, 2016

Na Ghareeb Nu Wekh K Hasseya Kar

Na Ghareeb Nu Wekh K Hasseya Kar
Na Buri Nazar Naal Takkeya Kar
Lokaan De Aib Labda En Fareeda
Kadi Apne Andar V Takkeya Kar...

Na Ghareeb Nu

Dec 31, 2015

Na Hawas Us K Jism Ki

Na Hawas Us K Jism Ki
Na Shoq Us Ki Izzat Ka

Be-Matlabi Sa Banda Hun
Us Ki Sadgi Pe Marta Hun...

Submitted By: Imran