Showing posts with label December Poetry. Show all posts
Showing posts with label December Poetry. Show all posts

Dec 27, 2017

December Tum Na Jao Na

December Tum Na Jao Na
Abhi Lamhay Nahi Bikhry
Abhi Mosam Nahi Bichry
Mere Kamray Ki Thandak Me
Abhi Kuch Dhoop Baki Hai
Meri Diary K Kuch Safhay
Abhi Kuch Likh Nahi Paye
Mere Angan K Sub Poday
Abhi Bhi Gungunaty Hain
Mere Be-Jaan Honton Par
Abhi Muskan Baki Hai
Kisi K Laut Any Ka
Abhi Imkan Baki Hai
December Bat Ek Sun Lo
Suno Tum Man Jao Na
K Jab Tak Wo Nahi Ata
December Tum Na Jao Na...

December Tum Na

Sookhy Patton Me Bhi Any Lagi Mushk-E-Ambar

Sookhy Patton Me Bhi Any Lagi Mushk-E-Ambar
Teri Bikhri Hui Yaden Hain Aur Ye December...

Sookhy Patton Me

Dec 21, 2017

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge
An-Kahi Bat Ko Samjho Ge To Yad Aunga
Hum Ne Khushiyon Ki Tarha Dukh Bhi Ekathe Dekhe
Safha-e-Zeest Ko Palto Ge To Yad Aunga
Is Judai Me Tum Andar Se Bikhar Jaoge
Kisi Mazoor Ko Dekhoge To Yad Aunga
Isi Andaaz Me Hote The Mukhatib Mujhse
Khat Kisi Aur Ko Likho Ge To Yad Aunga
Meri Khusbu Tumhe Khole Gi Gulabon Ki Tarha
Tum Agr Khud Se Na Bolo Ge To Yad Aunga
Sard Raaton K Mehekte Hue Sannaton Me
Jab Kisi Phool Ko Chumo Ge To Yad Aunga
Aaj To Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot K Bikhro Ge To Yad Aunga
Ab To Ye Ashq Me Honton Se Chura Leta Hun
Haath Se Khud Inhe Poncho Ge To Yad Aunga
Shawl Pehnaye Ga Ab Kon December Me Tumhe
Barishon Me Kabhi Bheego Ge To Yad Aunga
Haadsay Aenge Jeewan Me To Tum Ho K Nidhaal
Kisi Dewaar Ko Thamo Ge To Yad Aunga
Is Me Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi
Tum Seyaah Rung Jo Pehno Ge To Yad Aunga...

Tum Meri Aankh

Dec 15, 2017

Bohat Se Gham December Me December K Nahi

Bohat Se Gham December Me December K Nahi Hote
Usy Bhi June Ka Gham Tha, Magar Roya December Me...

Bohat Se Gham

Me Kese Sard Hathon Se Tumhare Gaal Choota Tha

Me Kese Sard Hathon Se Tumhare Gaal Choota Tha
December Me Tumhe Meri Shararat Yaad Aye Gi...

Me Kese Sard

Dec 11, 2017

Wo Yad Aya Kuch Yun K Laut Aye Sub Silsilay

Wo Yad Aya Kuch Yun K Laut Aye Sub Silsilay
Thandi Hawa, Zard Pattay Aur December Ki Pehli Barish...

Blogger: Waqas Ali

Dec 1, 2016

Thandi Thandi Hawa Chal Pari Humary Veerany

Thandi Thandi Hawa Chal Pari Humary Veerany Main
Andaaz Bara Zalim Hai December Tere Any Ka...

Submitted By: Faisal Rehman

Thandi Thandi Hawa

Dec 22, 2015

Zard Patton Ka Yahan Matam Karun Ga

Zard Patton Ka Yahan Matam Karun Ga Kab Talak
Me December Se Khafa Yunhi Rahun Ga Kab Talak...

Zard Patton Ka

Dec 12, 2015

Bhala Barish Se Kya Sairaab Hoga

Bhala Barish Se Kya Sairaab Hoga
Tumhare Wasal Ka Pyasa December...

Bhala Barish Se

Dec 2, 2015

Wo Darjan Bhar Maheeno Se

Wo Darjan Bhar Maheeno Se
Zara Mumtaz Lagta Hai

December Kis Liye Akhir
Hamesha Khas Lagta Hai

Bohat Sehmi Hui Subhein
Udaasi Se Bhari Shamein

Dopehrein Roi Roi Si
Wo Ratein Khoi Khoi Si

Garam Dabeez Shawlon Ka
Wo Kam Roshan Ujaalon Ka

Kabhi Guzry Hawalon Ka
Kabhi Mushkil Sawalon Ka

Bichar Jane Ki Mayoosi
Milan Ki Aas Lagta Hai

December Kis Liye Akhir
Hamesha Khas Lagta Hai...

Blogger: Waqas Ali

Wo Darjan Bhar