Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts

Nov 5, 2014

Ab To Bas Ek Hi Khawahish Hai Kisi Mor

Ab To Bas Ek Hi Khawahish Hai, Kisi Mor Par Tum

Hum Ko Bikhray Hue Mil Jao, Sambhalein Tum Ko...

Ab To Bas Ek

Sep 15, 2014

Sochta Hoon K Usy Neend Bhi Aati Hogi

Sochta Hoon K Usy Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarha Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kya Aankh Milati Hogi?

Is Zameen Pe Bhi Hai Selaab Mere Ashkon Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilaati Hogi

Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pe Kayi Khawab Sulati Hogi

Us Ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rang Libaas
Ab Moharram Ki Tarha Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi

Mere Tareek Zamanon Se Nikalne Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilaati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hongi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop De Kar Mujhe Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi...

Sochta Hoon K Usy

Jul 19, 2014

Sochta Hoon K Usy Neend Bhi Aati Hogi

Sochta Hoon K Usy Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?

Is Zameen Pe Bhi Hai Selaab Mere Ashkon Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilaati Hogi

Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pe Kayi Khawab Sulati Hogi

Us Ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarha Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi

Mere Tareek Zamanon Se Nikalne Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilaati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hongi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop De Kar Mujhe Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi...

Sochta Hoon K Usy

May 25, 2014

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge
An-Kahi Bat Ko Samjhoge To Yad Aunga

Hum Ne Khushiyon Ki Tarha Dukh Bhi Ikathe Dekhe
Safah-e-Zist Ko Paltoge To Yad Aunga

Isi Andaz Me Hote The Mukhatib Mujhse
Khat Kisi Aur Ko Likhoge To Yad Aunga

Sard Raaton K Mehakte Hue Sannaton Me
Jab Kisi Phool Ko Choomoge To Yad Aunga

Ab Tere Ashk Me Honton Se Chura Leta Hun
Hath Se Khud Inhe Ponchoge To Yad Aunga

Shawl Pehnaye Ga Ab Kon December Me Tumhe
Barishon Me Kabhi Bheego Ge To Yad Aunga

Aj Tum Mahfil-E-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot K Bikhroge To Yad Aunga

Haadse Aenge Jeewan Me To Tum Ho K Nidhaal
Kisi Deewar Ko Thamoge To Yad Aunga

Is Me Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi
Tum Siyah Rang Jo Pehnoge To Yad Aunga...

Tum Meri Aankh K

Apr 30, 2014

Mere Chehre Se Mera Dard Na Parh Paoge

Mere Chehre Se Mera Dard Na Parh Paoge Wasi

Meri Aadat Hai Har Bat Par Muskura Dena...

Mere Chehre Se Mera

Feb 19, 2014

Hum Haseen Hone Ka Dawa Tu Nahi Karte

Hum Haseen Hone Ka Dawa Tu Nahi Karte Wasi Magr

Jise Aankh Bhar Kar Dekh Len Uljhan Me Dal Dete Hain...

Hum Haseen Hone

Nov 27, 2013

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge
An-Kahi Bat Ko Samjho Ge To Yad Aunga
Hum Ne Khushiyon Ki Tarha Dukh Bhi Ekathe Dekhe
Safha-e-Zeest Ko Palto Ge To Yad Aunga
Is Judai Me Tum Andar Se Bikhar Jaoge
Kisi Mazoor Ko Dekhoge To Yad Aunga
Isi Andaaz Me Hote The Mukhatib Mujhse
Khat Kisi Aur Ko Likho Ge To Yad Aunga
Meri Khusbu Tumhe Khole Gi Gulabon Ki Tarha
Tum Agr Khud Se Na Bolo Ge To Yad Aunga
Sard Raaton K Mehekte Hue Sannaton Me
Jab Kisi Phool Ko Chumo Ge To Yad Aunga
Aaj To Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot K Bikhro Ge To Yad Aunga
Ab To Ye Ashq Me Honton Se Chura Leta Hun
Haath Se Khud Inhe Poncho Ge To Yad Aunga
Shawl Pehnaye Ga Ab Kon December Me Tumhe
Barishon Me Kabhi Bheego Ge To Yad Aunga
Haadsay Aenge Jeewan Me To Tum Ho K Nidhaal
Kisi Dewaar Ko Thamo Ge To Yad Aunga
Is Me Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi
Tum Seyaah Rung Jo Pehno Ge To Yad Aunga...

Tum Meri Aankh K

Nov 11, 2013

Kuch To Apni Galtiyon Ka Azaala Kro Wasi

Kuch To Apni Galtiyon Ka Azaala Kro Wasi

Yoon Nafraton Ko Dil Me Na Paala Kro Wasi

Seedha Sa Ek Sawaal Hai Seedha Jawaab Do

Yoon Muskura K Mujh Ko Na Tala Kro Wasi

Alfaaz Gira Dete Hain Jazbaat Ki Qeemat,

Jazbaat Ko Lafzon Me Na Dhala Kro Wasi

Sambhlay Hue Logon Ki Fikar Chor Do Wasi

Jo Gir Rahe Hain Unko Sambhala Kro Wasi...

Kuch To Apni Galtiyon

Sep 15, 2013

Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga

Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Humara Hoga,

Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga,

Zindagi..! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
Gar Ye Tay Hai K Yehi Khail Dobara Hoga,

Jis K Hone Se Meri Sasns Chala Karti Thi
Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga,

Ye Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga,

Ishq Karna Hai To Din Raat Usy Sochna Hai
Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga,

Ye Jo Pani Main Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor
Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga,

Kon Rota Hai Yahan Raat K Sunnaton Me
Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga,

Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,

Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI
Usne Seeny Main Koi Dard Utara Ho Ga,

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko
Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga...!!!

Us ki Aankhon Me Muhabbat Ka Sitara Ho Ga

Mar 9, 2013

Bhool Jana To Rasm-e-Duniya Hai Wasi - Wasi Shah

Bhool Jana To Rasm-e-Duniya Hai 'Wasi',
Tum Ne Bhula Kar Konsa Kamal Kar Diya....

Wasi Sad Poetry


Jan 14, 2013

Mere Chehrey Se Mera Dard Na Parh Pao Ge ‘Wasi’

Mere Chehrey Se Mera Dard Na Parh Pao Ge ‘Wasi’
Meri Aadat Hai Har Baat Pe Muskura Dena….

Wasi Shah

Jan 4, 2013

Tum Mere Ho Kar Nahi Dete - Wasi Shah Nazam

Jitni Duain Aati Thin,
Sab Maang Leen Hum Ne
Jitne Wazeefe Yaad The Sare,
Kar Bethe Hain
Kai Tarhan Se Jee Dekha Hai
Kai Tarhan Se Mar Bethe Hain
Lekin Janaa!
Kisi Bhi Soorat
Tum Mere Ho Kar Nahi Dete..! :(

Wasi Shah Nazam

Sep 8, 2012

Ab Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kardo - Wasi Shah

wasi shah poetry

Wasi Shah Poetry

Ab Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mein Ke Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kardo

Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo…

Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kardo…

Dhoop Hi Dhoop Hon Mein Toot Ke Barso Mujh Par,
Mein To Sehra Hun Mujhe Piyar Ka Badal Kardo…

Iske Saye Mein Mere Khwab Mehak Uthen Gey,
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kardo..

Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ik Nazar Piyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo…

Sep 2, 2012

Samajh Nahi Aati Wafa Karain To Kis Se - Wasi Shah Poetry

Wasi Shah Sad Poetry

Urdu Shayari - Wasi Shah Poetry

Samajh Nahi Aati Wafa Karain To Kis Se Karain ‘Wasi’
Mitti Se Bane Ye Loog Kagaz Ke Tukron Pe Bik Jaty Hain…

Aug 27, 2012

Aankhen Bheeg Jati Hain - Wasi Shah Shayari

Aankhen-bheeg-jati-Wasi-Shah

Wasi Shah Poetry - Love Poetry

Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se,
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….

Cheen = Snached;

Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain,
Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Jhail = bear; Rasmain = Rituals;

Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..?
Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Hassas = Sensitive;

Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain,
Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi,
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Chokhat = Threshold

Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain,
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Muflis = Destitute; Alam = Tragic; Daastanein = Stories;

Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi,
Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Unchey = High; Bad_Numa =  Graceless; Mehloon = Menses; Takta = To See

Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai,
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Kooche = Neighborhood; Taaluq = relation; Waajbi = Obligatory

Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe ‘Wasi’
Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….!

Jul 15, 2012

Dukh Dard Ke Maron Se Mera Zikar Mat Karna - Wasi Shah Poetry

Best of Wasi Shah

Urdu Ghazal - Wasi Shah Poetry

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...

Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...

Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...

Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...

Shaid wo mere haal pe be-sakhata roo dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...

Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna...



Jun 23, 2012

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat 'Wasi' - Wasi Shah Poetry

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat 'Wasi'

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat 'Wasi'
Qatra qatra baras rahi hai askhkon ki barsaat 'Wasi'

Tere baad ye dunya wale mujh ko pagal kar dain ge,
Khushbu ke dais me mujh ko le chal apne saath 'Wasi'

Yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gum sum betho ge?
Khamoshi se dam ghutta hai chairo koi baat 'Wasi'

Chor 'Wasi' ab us ki yaadain, tujh ko pagal kar dain gi,
Tu qatra hai wo darya hai, dekh apni Aoqaat 'Wasi'..!!



Jun 20, 2012

Tum meri aankh ke taiwar na bhula pao ge - Wasi Shah


Tum meri aankh ke taiwar na bhula pao ge,
An_kehi baat ko samjho ge to yaad aaon ga...!



Apr 3, 2012

Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga

Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga,
Be'Hisab Us Main Tera Qasoor Likhun Ga,
Tu Guftaar Ka MaHir Tu Kirdar Ka MaHir,
Pr Husn ko Tere Tera Ghuroor Likhun Ga,
Toot Gaye Bachpan K Tere SarE Khilony,
Ab Dilon Se KheLna Tera Dastoor Likhun Ga,
Raha Ishq Ka Da'awa Tujhe Tamam Umer,
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhun Ga,
Khud-Sakhta Jo Hai Tera Judai Ka Faisla,
Aise Hr Iqdaam Ko Na'Manzoor Likhun Ga,
Humein Kehne Ki Aadat Nahi Likhne Ka ShouQ Hai,
Jazbon Ko Apne QaLam Ki Taseer Likhun Ga,
Tera Wajood, Mera Wajood, Mujhe Ek Sa Lage,
"Wasi"
Pr Tujhe Main Khud Se Bahut Door Likhun Ga...!!!


Feb 20, 2012

Nafratoon Ki Dunya Me Piyar Na Kar - Wasi Shah Shayari

Urdu Wasi Shah Shayari

Nafratoon Ki Duniyan me Piyar Na Kar 'Wasi'
Rooh Fana ho Jati hai Lekin Wafa nahe Milti..!