Nov 6, 2014

Jane Kiun Itni Si Baat Pe Dharkan Ruk Si Gai

Jane Kiun Itni Si Baat Pe Dharkan Ruk Si Gai

Bas Zara Tasawur Hi To Kia Tha Us K Bagair Jeene Ka...

Jane Kiun Itni Si

Aa Dekh Mujh Se Roothne Wale K Tere

Aa Dekh Mujh Se Roothne Wale K Tere Bagair

Din Bhi Guzar Gaya Meri Shab Bhi Guzar Gai...

Aa Dekh Mujh

Nov 5, 2014

In Lamhon Ki Yaadein Sambhal K Rakhna

In Lamhon Ki Yaadein Sambhal K Rakhna

Hum Yaad To Aenge Lekin Laut Kar Nahi...

In Lamhon Ki

Ab To Bas Ek Hi Khawahish Hai Kisi Mor

Ab To Bas Ek Hi Khawahish Hai, Kisi Mor Par Tum

Hum Ko Bikhray Hue Mil Jao, Sambhalein Tum Ko...

Ab To Bas Ek

Nov 4, 2014

Us Ko Nafrat Thi Bewafaon Se

Us Ko Nafrat Thi Bewafaon Se

Kese Khud Se Nibhaa Raha Hoga...?

Us Ko Nafrat

Talab Aisi K Basa Loon Dil-o-Jaan Me Usy

Talab Aisi K Basa Loon Dil-o-Jaan Me Usy

Naseeb Aisa K Muyassar Deedar Bhi Nahi...

Talab Aisi K Basa

Nov 3, 2014

Main Rone Se Darti Hun Juda Hone Se Darti Hun

Main Rone Se Darti Hun Juda Hone Se Darti Hun

Meri Aankhen Batati Hain K Main Sone Se Darti Hun

Mera Hath Pakar Lena Mujhe Tanha Nahi Karna

Ye Duniya Ek Mela Hai Tumhe Khone Se Darti Hun

Jab Hansti Hun To Q Palkon K Goshe Bheeg Jate Hain

Tumhe Maloom Hai Main Is Tarha Rone Se Darti Hoon

Jab Se Khawab Dekha Hai Mujhe Tum Chor Jaoge

Main Ab Khawabon Se Darti Hun

Main Ab Sone Se Darti Hun...

Main Rone Se Darti

Chalo Kuch Der Hanste Hain Muhabbat Par

Chalo Kuch Der Hanste Hain Muhabbat Par Inayat Par!

K Be-Bunyad Baten Hain Sabhi Rishte Sabhi Natay!

Zaroorat Ki Hain Ejaadain Kahin Koi Nahi Marta!

K Sab Hai Phair Lafzon Ka Hai Sara Khail Harfon Ka!

Na Hai Mehboob Koi Bhi Sabhi Jumlay Se Kasty Hain!

"Chalo Kuch Der Hanste Hain"

Jise Hum Zindagi Kehte Jise Hum Shayari Kehte!

Ghazal Ka Qafia Tha Jo Tha Jo Unwan Nazmo Ka!

Wo Lehja Jab Badlta Tha Qayamat Khez Lagta Tha!

Waqt Se Age Chalta Tha Bala Ka Tez Lagta Tha!

Jo Saya Ban K Rehta Tha Juda Ab Us K Raste Hain!

Chalo Kuch Der Rote Hain Chalo Kuch Der Hanste Hain...!

Chalo Kuch Der

Shabeer Se Seekhy Koi Islam Bachana

Shabeer Se Seekhy Koi Islam Bachana

Ata Hai Jise Nezay Pe Quran Sunana...

Shabeer Se Seekhy

Nov 2, 2014

Aankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Shaam K Bad

Aankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Shaam K Bad
Laut Jata Hai Agar Koi Khafa Shaam K Bad

Wo Jo Tal Jati Rahi Sir Se Bala Shaam K Bad
Koi To Tha K Jo Deta Tha Dua Shaam K Bad

Aankhen Bharti Hain Shab-E-Hijr Yateemon Ki Tarha
Sard Ho Jati Hai Har Roz Hawa Shaam K Bad

Shaam Tak Qaid Raha Karte Hain Dil K Andar
Dard Ho Jate Hain Sare Hi Rehaa Shaam K Bad

Log Thak Haar K So Jate Hain Lekin Jana
Hum Ne Khush Ho K Tera Dard Saha Shaam K Bad

Chand Jab Ro K Sitaaron Se Galay Milta Hai
Ek Ajab Rang Ki Hoti Hai Fiza Shaam K Bad

Hum Ne Tanhai Se Pucha K Milo Gi Kab Tak
Us Ne Be-Chaini Se Foran Hi Kaha Shaam K Bad

Tum Gaye Ho To Siyah Rang K Kapre Pehne
Phirti Rehti Hai Mere Ghar Me Qaza Shaam K Bad

Maar Deta Hai Ujar Jane Ka Dohra Ehsaas
Kash Ho Koi Kisi Se Na Juda Shaam K Bad...

Aankh Ban Jati Hai