Nov 2, 2014

Wo Kehta Hai Bohat Hi Majburiyan Hain

Wo Kehta Hai Bohat Hi Majburiyan Hain Waqt Ki

Saaf Lafzon Me Khud Ko Bewafa Nahi Kehta...

Wo Kehta Hai

Nov 1, 2014

Naadim Hoon Mene Koi Bhi Rahat Na Di Tujhe

Naadim Hoon Mene Koi Bhi Rahat Na Di Tujhe
Tu Jis Ka Mustahiq Tha Wo Chahat Na Di Tujhe

Apne Hi Roz-o-Shab K Jhamelon Me Gum Raha
Jis Per Tera Tha Haq Wo Rafaqat Na Di Tujhe

Tu Paas Tha To Meri Anaa K Ghuroor Ne
Pathar K Aik Butt Ki Bhi Wuq'at Na Di Tujhe

Darya Tha Me Khuloos Ka Har Shakhs K Liye
Per Boond Bhar Bhi Mene Muhabbat Na Di Tujhe

Kaghaz K Qamqamon Ko Jalane K Shauq Me
Afsos, Koi Sham-e-Rafaqat Na Di Tujhe

Tu Sochta To Ho Ga K Shayar K Pyar Ne
Apni Kisi Ghazal Ki Bhi Surat Na Di Tujhe

Me Kya Karun K Mere Bohat Se Azaab The
Bus Is Liye Kabhi Koi Zehmat Na Di Tujhe...

Naadim Hoon Mene

Ab To Mehfil Se Bhi Hota Nahi Gham Ka ilaaj

Ab To Mehfil Se Bhi Hota Nahi Gham Ka ilaaj

Pehle Tanhai Bhi Dukh Baant Liya Karti Thi...

Ab To Mehfil

Me Lautne K Iraday Se Ja Raha Hun Magar

Me Lautne K Iraday Se Ja Raha Hun Magar

Safar Safar Hai Mera Intizaar Matt Karna...

Me Lautne K

Adhoore Khawab K Andar Kabhi Palkain Bichana

Adhoore Khawab K Andar Kabhi Palkain Bichana Matt

Adhoore Khawab Aankhon Ko Bohat Takleef Dete Hain...

Adhoore Khawab K

Oct 31, 2014

Ek Ye Khauf K Koi Zakham Na Dekh Le Dil K

Ek Ye Khauf K Koi Zakham Na Dekh Le Dil K

Aur Ek Ye Hasrat K Kaaashh Koi Dekhne Wala Hota...

Ek Ye Khauf K

Sard Mosam Ki Garm Yadon Se Dil Jane Kiun Phat Sa

Sard Mosam Ki Garm Yadon Se Dil Jane Kiun Phat Sa Jata Hai

Us La-Jawab Bewafa Se Mohabbat Aj Bhi Karte Hain Hum...

Sard Mosam Ki Garm

Kabhi Socha Hai Tu Ne K Ek Maghrur Si Larki

Kabhi Socha Hai Tu Ne K Ek Maghrur Si Larki

Na-jane Kiun Tere Har Hukam Ki Takmeel Karti Hai...

Kabhi Socha Hai

Oct 28, 2014

Kisi Din Tujh Se Milne Ka Bahana Dhoond Lete Hain

Kisi Din Tujh Se Milne Ka Bahana Dhoond Lete Hain
Chalo Kuch Saal Pehle Ka Zamana Dhoond Lete Hain

Andhera Kitna Hi Gehra Ho Raatain Kitni Kaali Hon
Parinday Apna Apna Aashiyana Dhoond Lete Hain

Kayi Dar Khul Jate Hain Jo Ek Dar Band Hota Hai
Hum Aise Log Apna Aab-o-Dana Dhoond Lete Hain

Chatain Jin K Saron Se Cheen Li Jati Hain Wo Be-Ghar
Kahin Bhi Sir Chupane Ka Thikana Dhoond Lete Hain

Galay Hum Se Bhi Aa Lagta Hai Koi Dard Ka Maara
Kisi Dil Sokhta Ka Hum Bhi Shaana Dhoond Lete Hain

Khuda Mehfooz Rakhe In Ki Zid Pe Hum Na Aa Jaen
Shikari Apne Matlab Ka Nishana Dhoond Lete Hain

Ana Ki Jang Me Akhir Bharam Qaim Bhi Rakhna Hai
To Yoon Karte Hain Rasta Darmiyana Dhoond Lete Hain...

Kisi Din Tujh Se

Oct 27, 2014

Qarz-e-Nigaah-e-Yaar Adaa Kar Chuky Hain Hum

Qarz-e-Nigaah-e-Yaar Adaa Kar Chuky Hain Hum
Sab Kuch Nisaar-e-Raah-e-Wafa Kar Chuky Hain Hum

Kuch Imtihaan-e-Dast-e-Jafa Kar Chuky Hain Hum
Kuch Unki Dastaras Ka Pata Kar Chuky Hain Hum

Ab Ehtiyaat Ki Koi Surat Nahi Rahi
Qaatil Se Rasm-o-Raah Siwa Kar Chuky Hain Hum

Dekhen Hai Kon Kon, Zarurat Nahi Rahi
Kooay Sitam Me Sab Ko Khafa Kar Chuky Hain Hum

Ab Apna Ekhtiyaar Hai Chahe Jahan Chalen
Raah-bar Se Apni Raah Juda Kar Chuky Hain Hum

Unki Nazar Me, Kya Karen, Pheeka Hai Ab Bhi Rang
jitna Lahu Tha Sarf-e-Qaba Kar Chuky Hain Hum

Kuch Apne Dil Ki Khoo Ka Bhi Shukrana Chahiye
So Bar Unki Khoo Ka Gila Kar Chuky Hain Hum...

Qarz-e-Nigaah-e-Yaar