Oct 2, 2017

Ye Udaas Udaas Phirna Ye Kisi Se Bhi Na Milna

Ye Udaas Udaas Phirna Ye Kisi Se Bhi Na Milna
Yunhi Be-Sabab Nahi Hai Koi Saniha To Hoga...

Ye Udaas Udaas

Oct 1, 2017

Ye Dars Karbala Ka Hai

Ye Dars Karbala Ka Hai
K Khof Bus Khuda Ka Hai...

Blogger: Waqas Ali

Sep 30, 2017

Ankhon K Sahilon Pe Hai Ashkon Ka Ek Hajoom

Ankhon K Sahilon Pe Hai Ashkon Ka Ek Hajoom
Shayad Gham-E-Hussain Ka Mosam Qareeb Hai...

Ankhon K Sahilon

Sep 29, 2017

Jhukana Chaha Tha Jis Sar Ko Sham Walon Ne

Jhukana Chaha Tha Jis Sar Ko Sham Walon Ne
Shikast Dekhiye Us Sar Ko Khud Utha K Chale...

Jhukana Chaha Tha

Sajday To Sub Ne Kiye Tera Naya Andaz Hai

Sajday To Sub Ne Kiye Tera Naya Andaz Hai
Tu Ne Wo Sajda Kiya Jis Par Khuda Ko Naz Hai...

Sajday To Sub

Har Ankh Num Hoti Hai Muharram Me

Har Ankh Num Hoti Hai Muharram Me
Aansu Shia Ya Sunni Nahi Hote...

Share It As Much As You Can!
Blogger: Waqas Ali

Sep 28, 2017

Khudi Hai Izzat-O-Yaqeen Ka Dastoor Mian

Khudi Hai Izzat-O-Yaqeen Ka Dastoor Mian
Jo Dekh Lia Kahin Pe Ye Satoor Mian

Hai Ishq Wo Bala K Kon Idhar Apna
Hai Ishq Me Dikhta Kahan Fatoor Mian

Ye Ishq Bazon Ki Basti Idhar Kahan Aye
Ye Wo Aitbar Jo Num Aur Phir Choor Choor Mian

Hai Meri Ye Chah Ek Dua Khuda Se
Mil Kar Bhool Gaya Wafa Hun Jo Majbur Mian

Tum Yawar Idhar Udhar Kiun Bhatakte Ho
Karun Ga Hasil Usko Magar Zarur Mian...

Submitted By: Yawar Habib

Khudi Hai Izzat

Yaqeen Ata Nahi Dil Ko K Aisa Ho Bhi Sakta Hai

Yaqeen Ata Nahi Dil Ko K Aisa Ho Bhi Sakta Hai
Mera Hal-E-Gham Sun Kar Wo Zalim Ro Bhi Sakta Hai

Kabhi Insan Akela Ho K Bhi Tanha Nahi Hota
Sar-E-Mehfil Kabhi Bethy Bithaye Kho Bhi Sakta Hai

Ta'ajjub Kiun Hai Tum Ko Meri Be-Gunahi Par
Karam Ka Aik Qatra Dagh-E-Daman Dho Bhi Sakta Hai

Kabhi Insan Ko Neend Ati Nahi Phoolon K Bistar Par
Kabhi Pathar Pe Sar Rakh Kar Mazy Se So Bhi Sakta Hai

Wo Kehta Hai Tumhari Khatir Sitary Tor Launga
Ba-Zahir Yoon Nahi Hota Magar Yoon Ho Bhi Sakta Hai...

Blogger: Waqas Ali

Roshni Ki Dhaar Par Rakhi Kahani Aur Dukh

Roshni Ki Dhaar Par Rakhi Kahani Aur Dukh
Aankh Se Behta Hua Khamosh Pani Aur Dukh

Mere Kamray Main Usi Tarteeb Se Rakhe Hue Phool
Khat, Waday, Dilasay, Ek Jawani Aur Dukh

Ek Dusre Se Bichar Kar Umar Bhar Rote Rahe
Raat, Sehra, Khushk Pattay, Ek Raani Aur Dukh

Ab Mere Lafzon Main Wo Pehli Si Kaifiyat Nahi
Daal Ab Jholi Main Teri Maherbani, Aur Dukh

Raat Sehra Main Kisi Ne Baansuri Ki Nok Par
Rakh Di Phir Roti Hui Yaadein Purani Aur Dukh...

Blogger: Waqas Ali

Sep 27, 2017

Guftagu Hum Se Aur Khayalon Me Koi Aur

Guftagu Hum Se Aur Khayalon Me Koi Aur
Haal Apka Bhi Hai Meri Namazon Jesa...

Guftagu Hum Se