Jun 14, 2018

Main Muntazir Hoon, Teri Deed Ka


Main muntazir hoon, teri deed ka
Tu nazar aye chand ban ke eid ka

Ae Chand Jub Wo Teri Taraf Daikhain


Ae chand
Jub wo teri taraf daikhain
Tu unhain kuch yaad dilana
Madhur se kuch geet sunana 
Aur kehna-----!
Tumhain koi yaad kerta hay
Teri arzo teri umeed kerta hay
Koi aj bhi
Tumhain daikh ker eid kerta hay

Jun 13, 2018

Her Kisi Ke Liyay Kahan Hoti Hain Eid Ki Khoshiyan

Her Kisi Ke Liyay Kahan Hoti Hain Eid Ki Khoshiyan


Her kisi ke liyay kahan hoti hain eid ki khoshiyan
Khoshiyan lata hay kahan sub ke liyay eid ka chand

Tumharay Chand Se Chehre Ki Agar Deed Ho Jay

 Tumharay Chand Se Chehre Ki Agar Deed Ho Jay 

 Tumharay chand se chehre ki agar deed ho jay
Qasam hay apni aankhon ki eid ho jay

Her Shakhs Apne Chand Se Tha Mehw-E-Guftagu

Her Shakhs Apne Chand Se Tha Mehw-E-Guftagu

Her shakhs apne chand se tha mehw-e-guftagu
Main chand dhoondta raha aur eid ho gye

Daikho Daikho Chand Hay Nikla

Daikho Daikho Chand Hay Nikla


Daikho daikho chand hay nikla
Daikho ye kis shan se nikla
Taroon ki baraat se nikla
Sub ko ye pegham sunao
Eid ka ye chand hay yaro
Khushiyon ka pegham hay yaro
Dordo bhago eid manain
Ik dojay ko galay lagain
Mil ker baithain mil ker gaen
Geet khoshi ke mil ker gaen
Daikho daikho chand hay nikla
Taroon ki baraat se nikla

Jun 12, 2018

Ye Ilaj Bataya Hay Tabeeb Ne Usay Bhulaney Ka


Ye ilaj bataya hay tabeeb ne usay bhulaney ka
Ke rafta rafta tum apni yaddaasht kho baitho!

Kabhi Soocha Na Tha Ke Wo Bhi


Kabhi soocha na tha ke wo bhi mujhay tanha ker jayga Umar
Jo aksar pereshan daikh ke kehta tha ....main hon na

Umar Bhar Likhtay Rahay Phir Bhi Warq Sada Raha


Umar bhar likhtay rahay phir bhi warq sada raha
Janay kia lafz thay jo hum se tehrir na howay

Chalo Hum Maan Letay Hain

Chalo Hum Maan Letay Hain

Chalo hum maan letay hain
Tumhen hum kho chuke lekin
Tumharee yaad ab taq bhi
Hamein betaab rakhti hai
Hamari saans ab taq bhi
Tumharee aas rakhti hai. . .
Magar ab yeh bhi suntay hain
Tumhe bhi mil gaya koi
Magar afsos, hum jaissa
Agar pao kahin tum to
Mujhe do harf likh daina ke
Manzil mil gayi mujh ko