Aa Daikh Meri Aankh Ke Bheegay Howe Mausam
Aa daikh meri aankh ke bheegay howe mausam Ye kis ne keh diya ke tujhay bhool gyee hum!
Aa daikh meri aankh ke bheegay howe mausam Ye kis ne keh diya ke tujhay bhool gyee hum!
Ye jo doobi hain meri aankhain ashkon ke darya main Ye matti ke insaano per bharosay ki saza hay
Ye sooch ker palkon main chupa laita hon aansu Gir ker ye meri aankh se be ghar na ho jay
Bus aik aansu bohat hay Mohsin ke jagne ko Ye ik sitara koi bujhaye tu neend aye
Khushi meri talash main younhi pherti rahi Kabhi use mera ghar na mila kabhi use hum ghar main na mile
Rezha rezha ker ke bikher deti hai Be perwah logon se be panah mohabbat
Mat poch ke kis tarha chal rahi hai zindagi Us dore se guzer rahe hain jo guzarta hi nahin
Be wafai to sabhi karte hain Tum to samjhdar thy kuch naya karte
Mohabbat main yehi khoof kyun musallat rahta hai Kahin mere siwa koi aur to aziz nahin usey
Ket hi gai judai bhi kab yeh howa ke mar gaye Tere bhi din guzer gaye mere bhi din guzer...