Tu Ne Daikha Hay Mahaz Mujhay Khush Bahar Se
Tu ne daikha hay mahaz mujhay khush bahar se Meray andar ki cheekhain tera dil phaard sakti hain
Tu ne daikha hay mahaz mujhay khush bahar se Meray andar ki cheekhain tera dil phaard sakti hain
Udaas to bohat rahay per kabhi zaahir nahi kiya Theek hoon bas is lafz ne sub sanbhaal liya
Lazzat gham-e-ishq ka tum kiya jano Main khush raha dil ko barbaad kerkay
Hum itne bhi nahi badlay ke bhool jain apnon ko Magar jub koi muntazir hi na ho to raabte achay...
Kisi ke haath bikne ko tayyar nahi Ye mera dil hay koi misar ka bazaar nahi
Tum jang nahi thay ke jeet laitay tujhay Hum tujhay haaray hain be intiha mohabbat kerke
Pehna ker loog libaas aitibaar-o-mohabbat ka Phir gharz-o-munafqat se daagdaar kertay hain
Milne ka waada to unke mun se nikal gaya Poochi jaga to kaha khuwaboon main ajana
Rooz jholi main naye dard ulat daita hay Waqt se daikha nahi jata mera daaman khali!
Khuda likhne pe ayee to likh bhi sakta hay Meri hayaat main ta hayaat tujhko