Showing posts with label Inspirational poetry. Show all posts
Showing posts with label Inspirational poetry. Show all posts

Jul 24, 2013

Chiryon Se Kaho Apne Nasheman Se Na Nikle

Chiryon Se Kaho Apne Nasheman Se Na Nikle,
Is Daur Ka Har Shakhs Uqaabon Ki Tarha Hai….

pathetic-humans

Jun 28, 2013

Panj Rukn Islam De, Te Chaiwan Farida Tuk - Baba Farid

Panj Rukn Islam De, Te Chaiwan Farida Tuk,
Je Na Labhe Chaiwan, Te Panje E Jande Muk..

Baba-Farid-Ganj-Shakar

Translation:

Islam Ke Panch Rukn Biyaan Kiye Jate Hain, Lekin Aye Farid! Ek Chatta Rukn Bhi Hai or Woh Hai “Rooti”
Ager Yeh Chatta Na Mile To Baqi Panchon Bhi Reh Jate Hain…
by: Hazrat Baba Farid Ganj Shakar

Jun 11, 2013

Ghafil Tujhe Gharyal Ye Deta Hai Manadi

Ghafil Tujhe Gharyal Ye Deta Hai Manadi,
Gardoon Ne Ghari Umer Ki Ik Aur Ghata Di…

Inspiration-watch-poetry

Apr 23, 2013

Sada-e-Hamd-o-Sana Se Haq Ada Hota Nahi

Sada-e-Hamd-o-Sana Se Haq Ada Hota Nahi,
Amal Karna Lazmi Hai Ab Musalman Ke Liye......

"صدائے ۔۔۔۔ حمد و ثناء سے حق ادا ہوتا نہیں 
عمل کرنا ۔۔۔۔۔۔۔۔ لازمی ہے اب مسلماں کے لئے"

By: Usman



Apr 19, 2013

Mere Aaib Mujhe Ungliyon Pe Ginwao Aey Dost

Mere Aaib Mujhe Ungliyon Pe Ginwao Aey Dost,
Bas Meri Ghair Mojoodgi Me Mujhe Bura Na Kehna…

Aaib shayari

Mar 31, 2013

Wo Lafz Dhoond Raha Tha Larazte Honton Se - Inspirational Poetry

Wo Lafz Dhoond Raha Tha Larazte Honton Se,
Zaeef Baap Ne Bety Se Baat Karni Thi…..

Parents-Right-Poetry

Mar 20, 2013

Kia Woh Namrood Ki Khudai Thi

Kia Woh Namrood Ki Khudai Thi....
Bandagi Me Mera Bhala Na Hua...

Poet: Mirza Ghalib;  Shared By: Faisal

Mar 14, 2013

Be Ghar Mein Hua Jab Se To Aaram Hai Mujh Ko

Be Ghar Mein Hua Jab Se To Aaram Hai Mujh Ko,
Barsat Mein Chat Girne Ka Ab Dar Nahi Hota…

Inspiration-Sad-Poetry

Mar 2, 2013

Ye Pichle Pehar Ka Zard Ru Chand - Allama Iqbal Poetry

Ye Pichle Pehar Ka Zard Ru Chand,
Be Raaz-o-Niyaaz-e-Aashnai,
Teri Qandeel Hai Tera Dil,
Tu Aap Hai Apni Rooshnai…!

Allama Iqbal Inspirational

Feb 19, 2013

Apni Islah Ka Fuqdaan To Dekho Pehle - Inspirational Poetry

Apni Islah Ka Fuqdaan To Dekho Pehle,
Phir Kisi Aur Ko Tum Sahib-e-Emaan Karna,
Nasl-e-Kuffar Ko Islam Pe Lana Choro,
Tum Pe Bhari Hai Musalman Ko Musalman Karna….

Inspirational-Poetry