Sep 15, 2018

Yadon Ke Hashiye Bhi Bohat Ahem Hain


Yadon ke hashiye bhi bohat ahem hain
Deemak lagi kitaab ko zara ahista kholiye

Sep 14, 2018

Kitaboon Ki Tarah Bohat Se Alfaaz Hain


Kitaboon ki tarah bohat se alfaaz hain mujh main
Aur kitaboon ki tarah he bohat khamoosh rehta hoon

Suna Hay Rabt Hay Us Ko Kharab Haalon Se

Suna Hay Rabt Hay Us Ko Kharab Haalon Se

Suna hay rabt hay us ko kharab haalon se
So apne aap ko barbad kerke daikhte hain

Asaani Se Koi Mil Jay Tu Woh Qismat

Asaani Se Koi Mil Jay Tu Woh Qismat

Asaani se koi mil jay tu woh qismat ka saath hay
Sooli per chardh ker bhi jo na milain use mohabbat kehtay hain

Ab Teri Yaad Se Wehshat Nahi Hoti Mujhko

Ab Teri Yaad Se Wehshat Nahi Hoti Mujhko

Ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko
Zakham khlne se aziyat nahi hoti mujhko
Ab koi aye chala jay main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat nahi hoti mujhko
Aesa badla hoon teray shehar ka paani pee ker
Jhoot bolon tu nadamat nahi hoti mujhko
Main ne bhi ki hay mohabbat, so kisi ki khatir
Koi merta hey tu hairat nahi hoti mujhko
Itna masroof hoon jeenay ki hawis main yaro
Saans lanay ki bhi fursat nahi hoti mujhko

Sep 13, 2018

Dil Uth Sa Giya Hai

Dil Uth Sa Giya Hai

Dil uth sa giya hai in be rang logon se
Na wafa karte hain na reha karte hain


Ab Kiya Karna Us Shakes Se Gila

Ab Kiya Karna Us Shakes Se Gila

Ab kiya karna us shakes se gila ker ke wasi
Woh bhi akhir apna intikhab tha


Usey Hum Chord Den Lakin

Usey Hum Chord Den Lakin

Usey hum chord den lakin bus aik choti se uljhan hai
Suna hai dil se dhardkan ke judai mot hoti hai


Bharosa Mat Karna Dunya Ke Logon Pe

Bharosa Mat Karna Dunya Ke Logon Pe

Bharosa mat karna dnya ke logon pe
Mujhy tbah karne wala bhi mera bohaut aziz tha

Sep 12, 2018

Khazan Ki Dhoop Se Shikwa Fazool Hay Muhsin

Khazan Ki Dhoop Se Shikwa Fazool Hay Muhsin

Khazan ki dhoop se shikwa fazool hay Muhsin
Main yoon bhi phool tha, aakhir mujhay bikharna tha