Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad”

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad 

Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuon ko dekh kar 

Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar 

Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi 

Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein 

Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par 

Naam tera likh diya baarish ke baad….!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *