Kya Kya Na Tere Yaar Ko Zalim Kaha Gaya

Kya Kya Na Tere Yaar Ko Zalim Kaha Gaya

Kashti Thi Talatum Me Aur Sahil Kaha Gaya

Hum Apna Dil Khud Hi Sar-e-Bazaar Tor Aye

Chain-O-Sabar Ki Inteha Qatil Kaha Gaya

Sheeshe Si Wafa Thi Meri Par Ittefaaq Dekh

Har Ek Tarha Se Pathar Mera Dil Kaha Gaya

Apna Tha Koi Samne Sir Ko Jhuka Lia

Lekin Me Sare Shehar Me Buzdil Kaha Gaya

Bawafa Tha Aur Wafa Chahata Tha Shams

Lekin Mujhi Ko Zafaaon Ki Manzil Kaha Gaya…

Submitted By: Shamsul Hasan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *