Yaqeen Ata Nahi Dil Ko K Aisa Ho Bhi Sakta Hai

Yaqeen Ata Nahi Dil Ko K Aisa Ho Bhi Sakta Hai

Mera Hal-E-Gham Sun Kar Wo Zalim Ro Bhi Sakta Hai

Kabhi Insan Akela Ho K Bhi Tanha Nahi Hota

Sar-E-Mehfil Kabhi Bethy Bithaye Kho Bhi Sakta Hai

Ta’ajjub Kiun Hai Tum Ko Meri Be-Gunahi Par

Karam Ka Aik Qatra Dagh-E-Daman Dho Bhi Sakta Hai

Kabhi Insan Ko Neend Ati Nahi Phoolon K Bistar Par

Kabhi Pathar Pe Sar Rakh Kar Mazy Se So Bhi Sakta Hai

Wo Kehta Hai Tumhari Khatir Sitary Tor Launga

Ba-Zahir Yoon Nahi Hota Magar Yoon Ho Bhi Sakta Hai…

Blogger: Waqas Ali

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *