Mein Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya

Mein zindagi ka sath nibhata chala gaya

Har fikar ko dhoyen mein urata chala gaya

Barbadyon ko sog manana fazool tha

Barbadyon ka jashn manata chala gaya

Jo mil gaya usi ko muqadar samaj liya

Jo kho gaya mein us ko bhulata chala gaya

Gham aur khushi mein faraq na mahsoon ho jahan

Mein dil ko us muqam pe lata chala gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *