Wo Ilm-e Riazi Ke Siwalon Ki Tarah Tha
Patha tha, magar baraf ke ghalon ki tarah tha
Ik shakhs andheron mein ujalon ki tarah tha
Khawbon ki tarah tha, na khayalon ki tarah tha
Wo ilm-e riazi ke siwalon ki tarah tha
Ulja hoya aesa, ke kabi khul nahi paya
Sulja hoya aesa ke misalon ki tarah tha
Wo mil tu gaya lekin apna bhi muqadar
Shatranj ki ulji hoyi chalon ki tarah tha
Wo rooh mein khushbu ki tarah ho gaya tahleel
Jo door bohat chand ke halon ki tarah tha