Zindagi Per Kitaab Likhon Ga

Zindagi per kitaab likhon ga

Is main saray hisaab likhon ga

Piyar ko waqt guzari likh ker

Chahaton ko azaab likhon ga

Apni khuwahish ka tazkara kerke

Is ka chehra gulaab likhon ga

Howi barbaad mohabbat kaisay

Kaisay bikhray hain khuwaab likhon ga

Main is se judai ka sabab

Apni qismat kharaab likhon ga!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *