Sep 17, 2018

Tujh Ko Nahi Ehsas Ke Ae Dil Teri Khatir

Tujh Ko Nahi Ehsas Ke Ae Dil Teri Khatir

Tujh ko nahi ehsas ke ae dil teri khatir
Ik shakhs barday kaam ka bekaar howa hay

Meray Mutlab Ka Shakhs Tha Wo

Meray Mutlab Ka Shakhs Tha Wo

Meray mutlab ka shakhs tha wo
Afsoos ke matlabi nikla

Luta Ker Her Cheez Munzl-E-Ishq Ki Rah Main

Luta Ker Her Cheez Munzl-E-Ishq Ki Rah Main

Luta ker her cheez munzl-e-ishq ki rah main
Hum huns peray hain aaj khud ko berbad daikh ker

Jane Kitne He Khuwab Dafna Chuka Hon

Jane Kitne He Khuwab Dafna Chuka Hon

Jane kitne he khuwab dafna chuka hon is dil main
Ab tu lagta hay jaise khud he qabristan hon main

Sep 15, 2018

Rang Bharta Tha Teray Qurb Ka Mausam

Rang Bharta Tha Teray Qurb Ka Mausam

Rang bharta tha teray qurb ka mausam jin main
Haye wo din bhi ajab aab-wo-hawa rakhtay thay

Bohat Roka Dil Ko Magar Kahan Tuk Rokta

Bohat Roka Dil Ko Magar Kahan Tuk Rokta

Bohat roka dil ko magar kahan tuk rokta
Mohabbat barhti gye, tumharay nakhroon ki tarah

Woh Subah Neend Se Jagay Tu Mujhse


Woh subah neend se jagay tu mujhse larne aye
Ke tum koon hotay ho meray khuwabon main anay walay

Yadon Ke Hashiye Bhi Bohat Ahem Hain


Yadon ke hashiye bhi bohat ahem hain
Deemak lagi kitaab ko zara ahista kholiye

Sep 14, 2018

Kitaboon Ki Tarah Bohat Se Alfaaz Hain


Kitaboon ki tarah bohat se alfaaz hain mujh main
Aur kitaboon ki tarah he bohat khamoosh rehta hoon

Suna Hay Rabt Hay Us Ko Kharab Haalon Se

Suna Hay Rabt Hay Us Ko Kharab Haalon Se

Suna hay rabt hay us ko kharab haalon se
So apne aap ko barbad kerke daikhte hain