Kiya Bhala Mujh Ko Parakhne Ka Nateeja Nikla
Kiya bhala mujh ko parakhne ka nateeja nikla
Zakhm-e-dil ap ki nazron se bhi gehra nikla
Tor ker daikh liya aaena-e-dil tu ne
Teri soorat ke siwa aur bata kiya nikla
Tashnagi jum gyee pathar ki tarah honton per
Doob ker teray darya main, main piyasa nikla
