Mehfilain Lut Gyeen Jazbaat Ne Dum Tor Diya

Mehfilain lut gyeen jazbaat ne dum tor diya

Saaz khamosh hain naghmaat ne dum tor diya

Her musarrat gham-e-deroz ka anwan bani

Waqt ki gaud main lamhaat ne dum tor diya

Un ginat mehfilain mehroom-e-charagan hain abhi

Kaun kehta hay ke zulmaat ne dum tor diya

Aj phir bujh gyee jul jul ke umeedon ke charag

Aj phir taroon bhari raat ne dum tor diya

Jin se afsana-e-husti main tasalsul tha kabhi

In muhabbat ki riwayaat ne dum tor diya

Jhilmilate howey ashkon ki lardi toot gyee

Jagmagati howi barsaat ne dum tor diya

Haye adaab-e-muhabbat ke taqazy Sagar

Lub hilay aur shikayaat ne dum tor diya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *