Uski Aankhon Main Rakhi Theen Barkatain Rub Ne
Uski aankhon main rakhi theen barkatain rub ne! Us haseen shakhs se wajib tha mohabbat kerna!
Uski aankhon main rakhi theen barkatain rub ne! Us haseen shakhs se wajib tha mohabbat kerna!
Tu mujhay khuwab main milta hay yahi kaafi hay Main tujhay saamnay daikhon ga to mar jaon ga
Nadaan hon, na samajh hon, be kaar hi samjho Dil roota hay hoont hanstay hain, funkaar hi samjho!!!
Samajh giya hoon ke koi nahi samjhay ga mujhay So zamanay se main ne guftagu mukhtasir kerli
Woh sharartain, woh shookiyan, meray uhd-e-tifal ke qehqahay Kahin kho gye meray raat din, isi baat ka to malaal hay!
Usko sunlon to, sabhi dard sukoon lagtay hain Janay kis dhun se woh lafzoon ko ada kerta hay
Koi nahi hay yahan aitibaar ke qabil Kisi ko raaz bataoo gay to maray jao gay!
Qabristaan no-jawanon se bhara ja raha hay Aur loog sooch rahay hain burdhapay main tauba keraingay!
Mujhay kuch is tareeqay se bhi woh mumtaaz kerta hay Sabhi logon main bus mujhko nazar andaaz kerta hay!
Awwal to zamanay main nahi tumsa koi aur Gar ho bhi to hum konsa tasleem keraingay!!