Manzil Teri Talaash Main Ghoomay Gi Darbadar
Manzil teri talaash main ghoomay gi darbadar Khalq-e-Khuda ki rah se rorday hata ker daikh!
Manzil teri talaash main ghoomay gi darbadar Khalq-e-Khuda ki rah se rorday hata ker daikh!
Zid pe ajaoon to mur ker bhi na daikhon! Tum ne daikha hi nahi mera pathar hona
Main tumharay lams ko lafzoon main kis tarah laon Tum mujhko chootay nahi, jaan nikaal daytay ho!
Lehja-e-yaar main zehar hay bicho ki tarah Woh mujhay aap to kehta hay magar to ki tarah
Rooz hota hay taruf kisi sachai se Rooz ik shakhs meray dil se utar jata hay
Woh shakhs hi meray lashkar se baghawat ker giya Jang jeet ker saltanat jis ke naam kerni thi!
Andhay nikaalte hain chehray se meray nuqs Behroon ko hay shikwa ke ghalat boolta hoon main!
Dil laga ke thukrae howe loog hain hum Afsoos keejiye, kinara keejiye, sabaq leejiye
Ik samundar hay jo meray qabo main hay Aur ik qatra hay jo mujhse sanbhala nahi jata Ik umar hay...
Palkoon ki had ko toord ke daamun pe aa gira Ik ashk meray sabar ki toheen ker giya….!