Sooji Aankhain, Nangay Paon, Baal Bikhray Hain
Sooji aankhain, nangay paon, baal bikhray hain Aa daikh! teray ishq main hum kaisay nikhray hain
Sooji aankhain, nangay paon, baal bikhray hain Aa daikh! teray ishq main hum kaisay nikhray hain
Phir yoon howa ke hasratain peroon main gir pardeen Phir main nay in ko roond ke qissa khatam ker diya
Saza koi bhi do magar hamaisha saath raho Tumharay bina jeenay ki aadat nahi mujhay
Aik sitam ye ke tum pass nahi ho Aur doosra sitam ye hay ke tum bohat yaad atay ho
Meray aziz kabhi khush nahi howay mujh se Tumhain bhi meri mohabbat se masla rahay ga!
Qosqazah ke rang thay meray khuloos main Ehbaab saray rangon ke andhay milay mujhay
Meri palkon ka ab neend se koi talluq nahi raha Mera koon hay ye soochne main raat guzar jati hay.
Thukraya hum ne bhi hay bohat ko teri khaatir Tujh se faasla bhi shayed un ki bad duaoon ka asar...
Rang utre to hamain choord diya tunay bhi Khobaro thay to teri jaan howa kertay thay!
Tujhay kiya lagta hay mujhay teri yaad nahi aati Pagal koi apni barbaadi ko bhi bhool sakta hay