Reza Reza Kerkay Bakhair Daiti Hay
Reza reza kerkay bakhair daiti hay Be parwah logon se be panah mohabbat
Reza reza kerkay bakhair daiti hay Be parwah logon se be panah mohabbat
Woh sharartain, woh shookiyan, meray uhd-e-tifal ke qehqahay Kahin kho gye meray raat din, isi baat ka to malaal hay!
Usko sunlon to, sabhi dard sukoon lagtay hain Janay kis dhun se woh lafzoon ko ada kerta hay
Mujhay kuch is tareeqay se bhi woh mumtaaz kerta hay Sabhi logon main bus mujhko nazar andaaz kerta hay!
Aisa lagta hay maut bohat nazdeek hay meray! Ghabrahat, be chaini aur takleef gawah is baat ki!
Yeh kis tarah ka taluq hay aap ka meray saath Mujhay hi choor janay ka mashwarah meray saath!
Aain mumkin hay ke hum jannat main bhi na milain Yahan zaat ka masla hay wahan darjaat ka!
Ae tabeeb, yoon koshish na ker Tujhay kiya khabar meray merz ki? Pehlay ishq ker…phir chaut kha…. Phir likh dawa...
Zid pe ajaoon to mur ker bhi na daikhon! Tum ne daikha hi nahi mera pathar hona
Acha howa tum jaldi badal gaye warna Meri umeedain aur bhi gehri ho jateen