Koi To Ho Jo Ghabraie Meri Khamooshi Se
Koi to ho jo ghabraie meri khamooshi se Kisi ko to samajh aye meray lehjay ka dukh
Koi to ho jo ghabraie meri khamooshi se Kisi ko to samajh aye meray lehjay ka dukh
Kandha nahi hay mayassar koi ab mujhay Rona aye to deewar se lag jata hoon
Bakht ke takht se yak lakht utaara howa shakhs Tonay daikha hay kabhi jeet ke haara howa shakhs
Ziddi hoon palat aata hoon phir teri gali main Pathar to mujhay pehlay bhi soo baar lagay hain
Laug mujh main mohabbat talaash kertay hain Main teray baad kisi ka raha hi nahi
Adam se kis liyay laya gaya hoon Jo sach poocho to behkaya gaya hoon Mera hona! na honay ke barabar...
Hum jo tum per mer mitay thay Tumhara kaam banta tha hamain zinda rakhna
Badal diya hay mujhay meray chahnay waloon ne hi Warna mujh jaisay shakhs main itni khamooshi kahan thi
Phir yoon howa ke hasratain peroon main gir pardeen Phir main nay in ko roond ke qissa khatam ker diya
Saza koi bhi do magar hamaisha saath raho Tumharay bina jeenay ki aadat nahi mujhay