Samajh Giya Hoon Ke Koi Nahi Samjhay Ga Mujhay
Samajh giya hoon ke koi nahi samjhay ga mujhay So zamanay se main ne guftagu mukhtasir kerli
Samajh giya hoon ke koi nahi samjhay ga mujhay So zamanay se main ne guftagu mukhtasir kerli
Aisa lagta hay maut bohat nazdeek hay meray! Ghabrahat, be chaini aur takleef gawah is baat ki!
Kabhi daikhi hay zindagi main azziyyat tum ne aisi Koi aap kahay, phir tum kahay, phir tum se kahay tum...
Aain mumkin hay ke hum jannat main bhi na milain Yahan zaat ka masla hay wahan darjaat ka!
Tumhain mohabbat kahan thi bus aadat thi Warna humara pal bhar ka bichardna tumharay liyay azaab hota!
Hum ne badal liya andaz-e-mohabbat apna yaad to her pal kertay hain bus tang kerna choord diya!
Patton ki tarahera tha zamanay ne mujhay Phir ik shakhs ne sameta aur aag lagadi
Main soochta raha raat bhar, kerwat badal ker Woh shakhs itna kiyon badal giya, mujhay badal ker!
Woh shakhs hi meray lashkar se baghawat ker giya Jang jeet ker saltanat jis ke naam kerni thi!
Daikh main gardish-e-ayaam utha laya hoon Ab bata kon se lamhe ko bulaoon wapis?