Aadat Usay Bhi Hogye Hay Roonay Ki Be Sabab
Aadat usay bhi hogye hay roonay ki be sabab Mera sa hogiya hay meray gham-khuwaar ka mizaaj
Aadat usay bhi hogye hay roonay ki be sabab Mera sa hogiya hay meray gham-khuwaar ka mizaaj
Itni kum zarf nahi hoon ke wafadar hone ka elaan keron Mujhay yaqeen hay jo khoayga dhoondta phiray ga
Main nahi chahti woh meray bulanay se aye Main chahti hoon woh reh na paye aur bahanay se aye
Tu wojood hay koi aks thordi hay Tu meri kul kainaat hay ik shakhs thordi hay
Aein mumkin hay ke izhar pe woh chord hi jay! Hum ne khamoosh mohabbat ko hi ghaneemat jana!
Ehsaas se khali rishte toot jatay hain Phir chahay waqt se pehlay totain ya waqt ke baad!
Kabhi awaaz dainay ka takalluf tum hi ker dalo Hamain ana to hay wapis zara sa maan reh jaye
Ghalat insaan se mohabbat aik aisa talakh tajurba hay Jo insaan ki zindagi ki saari khushi khatam ker daita hay
Kis qadar azziyyat hay zara soocho tu Jis ne milna hi nahi uski tammanna kerna
Khuda tumhain bhi berbaad keray ga daikh laina tum ne mera Sukoon cheena hay meri khushiyon ke qatil ho tum